Kyun dil dukhaye baitha hai
Kyun Palke jhukhae
baitha hai
Hona tha jo vo ho gaya
hai
Kyun khud ko rulaye baitha hai
Chalta tha jis raste pe
khushi se
Kyun us raste ko
chupaye baitha hai
Yaad kar vo din jo the
hasi ke
Kyun khushi chupaye baitha
hai
Karte the jo pyaar
tujhse
Kyun un sabko sataye
baitha hai
Tere rukne se nahi ruke
gi ye dunia
Kyun ye sach jhuklaye
baitha hai
Milega vo sab jo tu
chahta hai
Kyun ye sapne sajaye
baitha hai
Paise se tujhe milegi
khushi
Kyun ye khud ko jataye baitha
hai
Bhool ja jo hua hai
tere saath
Kyun khud ko vahaan
phasaye baitha hai
aane de phir vo khushi
k baadal
kyun unhe dabaye baitha
hai
Har din hai naya har
raat hai nayi
Phir kyun isse gavaye
baitha hai
Khud pe yakin ho to udd
chal vahaan
Jahaan ye dil chupaye
baitha hai
Kyun dil dukhaye baitha
hai
Kyun Palke jhukhae
baitha hai
Hona tha jo vo ho gaya
hai
Kyun khud ko rulaye baitha hai
6 comments:
Nice poem to motivate anyone
Pratham nicely framed poem and really very motivating
very nice poem...
interesting one.
really like your post it's very impressive..:)
"Tere rukne se nahi ruke gi ye dunia
Kyun ye sach jhuthlaye baitha hai"
very inspiring one... you know! in our lives,nothing should be valued more than ourselves. we all should live our lives till we die.
thanks for the motivation Pratham!!
Post a Comment